|
|
|
Kyun Dil mera |
|
|
Kyun Dil mera Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah may mujhe May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye Itna to tum batao kay yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
Yeh baat umer bhar samjh na paayi may Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
*******
|
|
|
|