|
|
|
Tumko khwabon me paa liya maine |
|
|
Tumko khwabon me paa liya maine
Apane man ko mana liya maine, Zindagi se nibha liya maine !
Ek khusboo si teri yaad aayee, Ek pal muskara liya maine !
Pyas tadpi to pee liya aansoo, Bhukh me gam ko kha liya maine !
Dard ka geet ek tadapta sa, Pyar me gunguna liya maine !
Mujhpe ilzam hai zamane ka, Kyon tera dil chura liya maine,
Jab kabhi need mujhse rooth gayee, Chand ko ghar bula loiya maine !
Kis tarah khusnaseeb hun mai bhi, Tumko khwabon me paa liya maine !!
******
|
|
|
|