|
Jab bichar kar tary sey chala jaonga Jab bichar kar tary sey chala jaonga dil ko seney main na paogi to yad aaonga
aaunga chupky sey khawabo mai jo tary aksar phir jo sOtey mai hi hansdogi to yad aaonga
meri masom mohobat ko bhula kar jab tum phir kisi aur ko chahogi too yaad aaongaa
dosto ki kisi mahfil mein bato bato mein jab kisi batt pa ruthogi to yaad aaongaa
meri tasver ko ankho mein chupaney key liye apney ashko sey meetaogi to yaad aaonga
raat sanatey mai kamrey ki khuli khirki sey hansty ek chand ko dekhogi to yad aaonga
jab bhi barsat ke bhegey huy mosam mai khari tanha barish mein jo bhegogi to yaad aaonga
khaak sey lipti kitaboo ke har ek kaghaz par naam likha mera dekhogi to yaad aaongaa
ab jo har ek khushi mujhko suna ney ke liye door tak mujh ko na paogi to yaad aaonga
neely kaprey jo pahan kar tum khuly balo ko khud hi hatho sey sanwarogi to yaad aounga
yad karty hui yah sans joo tooteygi meri phir meri kabar pa aogi to yaad aaongaa
Tara hi naam dil mai leker likhta tha sari ghazal ab jo parhtey huey ro-dogi to yaad aaongaa
*************
|